02

P.2

It's been 3 months since their marriage, they thought everything would work out eventually after their marriage but things remained as it was like before. Fights, taunts, sarcasm, pranks except that now they are sharing a house and a bedroom too.

Rajveer remains in his office and returns around the dinner time while Naina too tries to keep herself busy in her internship. This is because they try not to get indulge in their silly brawls which is next to impossible. But from few weeks their level of frustration has increased. Why? Let's checkout.

Amar came inside Rajveer's cabin to place a file but found him still there "Tu abhi tak ghar nahi gaya?  Kamal hai nayi nayi shadi hui hai teri, aise mein to log tezi se ghar bhagte hai, tera ajeeb hai".

Rajveer raise his head in frustration "kya khaak nayi shaadi hui hai, arey bachpan se jhel raha hu uss aurat ko, ab bhari jawani mein jhel raha hu, aur budhape tak bhi jhelna padega, ye kam nahi tha to wo char log jo kisi ko dikhai nahi dete wo bhi bolte hai ki ab to janmo janmo ka rishta hai tumhara". He said sarcastically.

Amar sat down in front of him trying to know about his problem
"par aisa hua kya? Mujhe to laga shaadi ke bad sab thik hoga".

Rajveer sits straight trying to explain him "ek admi jab shaadi karta hai to apni biwi se kya umeed karta hai?".

Amar fidgets in his seat while blushing "mujhe kya pata, meri abhi tak hui kaha".

Rajveer throws him disgusting look "Abe Ch***ye, common sense hai ki nahi, ek admi thaka Hara ghar jata hai to expect karta hai ki uski biwi, specially nayi naveli biwi uska ek pyari si smile ke sath Ghar me welcome karey, uska haal chal puche, din kaisa Raha, kya khaya Piya. Sath baith kar dinner kare aur raat mein pyaar bhari batein aur sukoon ke pal bitaye. That's all". Rajveer simplified everything and Amar nodded.

Rajveer sarcastically bangs his hand on table which made Amar squirm in his seat "Par meri wali alag hai, ghar ghusta hu to ciggerate ka dhuan mujhe welcome karta hai, khane mein Taano ki roti aur Gaaliyo ka saag parosa jata hai"

Amar looks at him in pity "itna hi nahi, jab tak haar ke sone ko jata hun na, to bistar mein biwi to milti hai hi par uske sath mein uski kitabe aur files bhi hoti hai. Couch par Sona padata hai. Kyunki hum pati hai, aur pati ka kaam hai biwi ko khush rakhna fir chahe biwi Amrit ke naam par vishpan hi kyu na karati ho".

Amar sighed feeling sad for his best friend "bhai, I feel for you, why don't you come over my place, for a change waha stay kar lia kar".

Rajveer let out a growl "ki thi...... koshish ki thi ek bar meine, office mein jaan bujh kar ruk gaya, agle din Ghar pahoncha to hum dono ke maa baap aisi shakal bana kar baithe the jaise mein koi terrorist hun aur wo intelligence officer, kyunki ladli bahu/beti ne complaint kar di thi ki Mera extra marital affair chal raha hai aur mein raat raat bhai usi chudail ke pas rehta hu" Amar gasped at this "Kamini se mera do pal ka sukoon bhi nahi dekha ja sakta, ab to Ghar se bahar rehne par bhi ban hai".

Amar feels very bad for him "bhai mein kya kahu, Teri halat to dhobi ke kutte jaisi ho gayi hai".

Rajveer widens his eyes and shouts at him with warning "kutte ka naam na le" Amar got scared and clutched over his heart "Maharani ko naya shauk Chadha hai, wo khud kafi nahi thi to ab kutta le ayi hai ghar mein. Ab dono milke meri bajate hai, ek taraf se wo bhaunkta hai dusri taraf se wo" Amar shook his head at his disheveled state "aur haan, kutte ko kutta mat kehna" Rajveer warna "warna uski maa bura man jayega, aur maa bura man gayi to beta apko dard dega".

Amar was confused "ghar jane se pehle injection ki next dose hospital se lagwa ke Jana hai mujhe" Amar's eyes got bigger in horror while Rajveer fidgets in his chair feeling the pain.
_____________________________________

Naina was in the kitchen while gossiping with her friend on the phone "Yar Nisha, my boss is utterly, butterly, delicious. Kasam se maal hai wo, aur mujhe bhav bhi deta hai, kya karu". She was tensed.

Nisha exclaimed "Wow! Ye to achi baat hai, hot boss aur uski hot intern, tere to maze hi maze hai".

Naina bangs knife on kitchen Island "Haramkhor, mein paraye mard par laar tapka rahi hu, mujhe rokne ki bajaye encourage kar rahi hai, tu chahti hi nahi ki mera ghar basa rahe".

Nisha replied in a savage manner "tere jaisi sirf laar hi tapka sakti hai, hona tujhse kuch nahi hai na boss aur na pati, tu bas baton ki Sher hai".

Naina sulked while sipping wine "besti kar rahi hai meri? mere halato ka mazak uda Rahi hai?".

Nisha was confused at her behaviour "arey to tu chahti kya hai ki mein kya Karu, tere pati ka naam lu to tere tevar satve asman par pahonchte hai, ab boss ki baat ayi to ye roop, teri problem kya hai?"

Naina sighed in frustration "Sanskaar BC. Sanskaar. I am just too good. Magar mein iss frustration ka kya karu, it's just too high"

Nisha suggests her "Babe, you have a hot husband. I can't believe tum dono ke bich kuch nahi hua hai. Tu Uska fayeda utha na bahar kya muhh marna".

Naina makes a face and said bitterly "wo admi! Wo kisi kaam ka nahi hai. Bhagwaan jane kaise fass gayi mein uske sath".

Nisha objected "but yar he is handsome, kabhi akhein dekhi hai tune uski dhyan se, they are so deep. Ladai jhagde ki jagah kabhi uspar thik se dhyan de to pata chale".

Naina was offended "excuse me, tu uss admi ki itni vakalat kyu kar rahi hai? Aur tune kab usey itne gaur se dekh liya? Chakkar kya hai? Mere pati par nazar maar rahi hai". Jealousy kicks in. "Mind it, behen aur bhabhi maa saman hoti hai to jeeja aur Bhai baap saman".

Nisha smirks "dekha, agayi na aukat mein, jaise hi laga ki koi aur apne maal pe nazar dal raha hai to alert. Par bahen ye mein hum, Teri sakhi. Tera pati kisi handsome hunk se kam nahi hai and he is super rich, ladkio ki koi kami nahi hai usko".

Naina was hesitated "nahi nahi Rajveer aisa nahi hai, Haan thoda kamina types hai magar, wo un mardo jaisa nahi hai jo bahar muh mare" she defended.

"Kab tak? Tu ek bhuke Sher ko bar bar uksa rahi hai ki wo bahar bhage, kal to wo office mein akela soya tha, parso kisi aur ke sath bhi so sakta hai" Naina was horrified "Aj wo Suraj Barjatia ki film ka Prem hai lekin agar aisa hi chalta raha na to usko Brazzers ka Johnny Sins ban jana hai" Nisha warns her.
_____________________________________
They were in parking when Amar spoke "Tune kabhi bhabhi ke sath" he was a hesitant title "you know, physically".

Rajveer sighed "ek bar cozy honey ki koshish ki thi akhir puri zindagi jhelna hai, ghuma ke laat maari thi, bas ittu se" he said pinching his fingers "ittu se distance se bacha tha" Rajveer looks down at his crotch and Amar hissed "aur physical uske sath hone ka sawal hi nahi uthta, she is clearly not my types, kapde dekha hai kaise pahenti hai wo, no fashion sense at all"

A girl was passing from there while they checked her out with keen interest "Fir tune, kahi bahar?" Amar suggestedly asked.

Rajveer exclaimed "pagal hai, shadishuda hun mein. Biwi Dayan hai par mein hawas ka mara nahi hun, I respect my marriage. Aur tu bhi kabhi aisa sochio mat life mein". Rajveer warna.

Amar was impressed, if he was a girl, he surely would have fallen in love with him "Rajveer mein na, ek baba ko janta hu, unke pas sabki problem ka solution hai"

Rajveer irritatedly said "oh please yar mein nahi manta in sab mein".

Amar tries to convince him "manta to shaadi mein bhi nahi tha aur Naina se to bilkul bhi nahi, par fir bhi ki na, to ek bar ye bhi try kar le".

Rajveer was reluctant "still yar, sahi nahi lag raha, what if wo dhongi hua?".

Amar shook his head convincingly "tujhe yaad hai Vinod sir, unko bacha nahi ho raha tha 12 saal se, baba ke pas gaye aur baby mil gaya".

Rajveer smirks and jokes " baba se to baby mil hi Jana tha na" he chuckled.

Amar was irritated "dekh aise mazak mat uda, tujhe chalna hai to thik warna rehne de".

Rajveer calms him down "okay okay, waise to mein manta nahi par ek bar chal lete hai, kya hi harz hai, meri biwi se to kam khatarnaak hi hoga" he sighed.
_____________________________________

Rajveer returns back home and as usual that dog, no, her beloved son welcomes him with his ever so loud barking as if he is some thief  in his own house.

Rajveer gritted his teeth and hissed "apni Amma ke chamche, mere pichwade mein teen dent dekar bhi tera Mann nahi bhara jo mere hi ghar mein mujhpar raub jama raha hai".

Naina comes there sweetly calling "Oh my baby! You are here." Rajveer's heart skipped a beat hearing her call him like that but in the next minute all his hopes shattered when she kneels down in front of her do......Son. He sighed, next to impossible.

Naina sensed his presence "Oh tum agaye," she dryly said "khana rakh diya hai, jakar thoos lo" she returns back.

Rajveer feels pity on himself "wah kya izzat milti hai ghar ke malik ko, mujhse zyada to uss kutte ke thaat hai".
_____________________________________

Rajveer tastes dal and makes face "ye kya, dal me itna namak".

Naina was quietly eating "sahi to hai chup chap kha lo, warna kalse ye bhi nahi milega, mein nahi kha rahi kya?" She murmurs "iss admi ke nakhre hi nahi liye jate, ek to pura din bahar kam karo fir Ghar me khana pakao".

Rajveer was frustated at her tantrums "tumse pehle bhi bola hai ek cook rakhlo, kisne kaha Sara kam karne ko, fir mujhe dosh deti ho".

Naina went high with her remarks "ohhh! tum to chahte hi yahi ho, sabko jatana ki tumhari biwi tumhe do waqt ka khana bhi nahi de sakti" she bangs her hands on table "par tum bhi sunlo mere rehte iss ghar mein koi cook nahi ayega".

Rajveer was annoyed "arey mere kehne ka wo matlab nahi tha, tum bahar rehti ho ghar me hath batane wala koi hoga to acha rahega".

Naina scrunches her face in doubt "Tumhare kehne ka kya matlab hai? Mein awara hun? Kaamchor hu? Ghar sambhal nahi sakti?" She accuses him instead.

He was frustrated with her uninterrupted accusations "Rehne do tumse to behes karna hi bekar hai?".

Naina got riled up at this and shouted "Did you just call me dumb" she points at herself and he tries to interrupt to correct but she never gave him the chance "yes! You called me dumb, duniya bhar ki intelligence to sirf Rajveer Singh Shekhawat ke pass hi hai na, he is the whole sole epicenter of wisdom".

Rajveer sighs in defeat and joins his hands "acha baba mein Hara tum jeeti, mein Maafi mangta hu".

She stands up in offence and points her finger at him "kya Jatana chahte ho, ki tum kitne mahaan atma ho, bahot bade ho jo hath jod ke maafi mang rahe ho, ye ehsaan ke naam par dhong karne ki koi zarurat nahi, sab samjhti hu mein. Pehle maafi mangoge fir kahoge ki hum mard to bina galati ke bhi maafi mangte hai, so just save it. Tum jaise insan se mujhe baat karne mein koi intrest nahi, mein chali sone" she leaves for bedroom with stomping feet.

Rajveer groaned "isey to iski bhalai ki baat bhi aisi lagti hai jaise Mera plan ho iski kidney ki smuggling karne ka"

he tastes dal and makes face "chi...itna tez namak akhir isne kaise khaya" his gaze falls on her plate, there was still some dal left in her bowl. He tastes it. "Ye to bilkul thik hai" he was shocked "Dayan, jaan bujh kar meri daal ko zeher kiya isne". He gritted.
_____________________________________

"Tu sure hai ye kam karega? Meri biwi ke agey devta bhi Sharma jaye to baba Kya karega" Rajveer was doubtful looking at Baba, who was blabbering Mantras God knows in what language.

"Arey zarur karega tu bas dekhta Jaa". Amar assured.

Baba spoke in gruff voice "samajh gaya, samajh gaya, teri pareshani ek aurat hai, jisne Teri zindagi nark kar di hai".

Rajveer exclaimed excitedly and squeals "baba chamatkari hai" he looks at Amar "Baba ko sab pata hai" Amar nodded happily as Rajveer touched his feet, laying down on the floor. "Baba ap antaryami ho".

Baba nodded "uth, aur ye le tera samadhan" Baba gives Rajveer a black thread with metal hanging in between it "ye taveez apni baju par bandh le, aur fir dekh Kamal".

Rajveer inspects it "Taveez, iss se kya hoga baba?".

Baba replies "ye taveez tujhe Teri samasya se dur karega, dekh isey teen din tak apne se alag nahi karna, ksey bandhte hi iska asar shuru ho jayega".

Rajveer nodded as Amar helps him "magar yaad rahe, jab tak ye taveez teri baju par hai, tab tak tujhe sharirik sambandh nahi banane hai, samjha" Rajveer nodded joining his hand.

________________

Naina was laughing while narrating last night's incident to Nisha "Rajveer ki na shakal dekhne wali thi jaise abhi ro padega"

Nisha was making serious face "Aj has le magar Aisa hi chalta raha na to kal ko koi akar tere pati ki le jayegi aur tu baithi baithi uski shakal imagine karke roti rahio"

Naina got irritated "Rajveer aisa nahi hai".

Nisha mocks her "Rajveer aisa nahi hai, Rajveer waisa nahi hai. Arey kab tak Rajveer aisa rahega, time changes and it's the universal truth.  Kab tak bechara sanyasi ki zindagi jeeyega, kabhi to Mann bhatkega! Aur agar wo bhatka na to tu apna sar latakte huye mat aiyo" she warns her.

Naina shook her head in Denial "tu bekar tension le rahi hai, Rajveer hai kamina, par in chizo mein sadhu types hai wo".

Nisha gritted her teeth at her dumbness "Abe akal ki andhi, ache ache Rishi Muniyo ko tapasya kisi na kisi apsara ne bhang ki hai. Aurat ka triya-charita to tu janti hi hai, apni aukat pe ajaye to ache ache ghar bikhar jate hai, to fir tu aur Tera pati kya cheez hai. Pati patni ke beech mein agar gap aya to 'woh' ki jagah ban jati hai"

Naina was lost in her thoughts, actually giving consideration to her advice. What if Rajveer actually falls for someone else? She dreaded at the thought. She can't even imagine the scenario. She doesn't hate him, after all he is her husband, it's just they don't get along with each other. Maybe she should give it a chance. And like Nisha said, he is handsome.

"To fir iss pati patni ke bich ke gap ko kaise fill kare? Taki 'woh' na asake" Naina asked.

Nisha relaxed and finally grinned wide. "Wo sab mein tujhe bata dungi, tu bas wo kar jo mein karne ko kahu"
_____________________________________

When he returns back he gets the shock of his life. Naina was standing at door smiling at him, he looks behind to check if anyone is there.

Naina smiles "agaye tum, kaisa din raha? Kuch khaya?".

He was taken aback, is she high or what. He tries to smell, everything is normal "Haan" he sees that she is wearing a saree, that too in red. Which means danger. "Wo kaha hai? Tumhare jigar ka tukda".

"Wo apne Nana Nani ke Ghar rehne gaya hai, tum hath muh dho Lo, mein khana garam karke lagati hun" Rajveer nodded in delusion wondering about her strange behaviour.
_____________________________________

Rajveer was eating dinner, and surprisingly everything was perfect and food was too delicious and his favourite.

Rajveer was amazed at her service "Palak paneer aur lo na, tumhara favourite" she serves him more sweetly. "Meine apne hatho se banaya hai",.

Rajveer remarks "to iss se pehle pairo se banati thi?" Her face turns red devoid of any expression and he instantly regrets it gulping nervously.

She suddenly smiles at him and says "tum aur tumhare jokes, sometimes you are too much" Rajveer chuckles nervously and decides to quietly relish the food before she bangs his head.

In bedroom Rajveer was wondering laying down on bed about tonight's event. How strange she was behaving, what happened to her suddenly in just span of few hours? Is she some doppelganger?

"Ye meri hi biwi hai na..ya koi hamshakal??" He thought doubtfuly.

Naina emerges out of washroom giving him another shock for th night. She is wearing nighty. A freaking nightly. The one in satin!! What happened to her baggy pajama and over sized tshirts?

Naina sat down in front of mirror applying moisturizer in seductive way, he watch her hungrily as she comes back and gives him a very sweet smile "Good Night Rajveer".

Rajveer was left gaping "huh! Night" that's all he could say. He was scratching his arms in confusion and then he realised about taveez then he looks at his sleeping wife who has a smile on her face. So it's working, that too soon. Wow. He smiled happy realisation and slept peacefully.


Write a comment ...

Write a comment ...